Dosti Shayari 1
Dosti achchi ho toh rang laati hai,
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai,
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai,
Par agar dosti apne jaisi ho….
…. Toh itihaas banaati hai !
Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari !
Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !
Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !
Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !
Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,
Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai,
Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !
Dost ek saahil hai tufaano ke liye,
Dost ek aaina hai armaano ke liye,
Dost ek mehfil hai anjaano ke liye,
Dosti ek khawaahish hai aap jaise dost ko paane ke liye !!
Raatein gumnaam hoti hai,
Din kisike naam hota hai,
Hum zindagi kuch is tarah jeete hai,
Ki har lamha doston ke naam hota hai !
Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,
Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,
Hai meri dosti mein itna dum,
Apni aankh ka aansoon teri aankh se gira sakta hoon !!
Aye dost teri dosti uss ghadi tadpaayegi,
Jab zindagi kahegi alvida, Aur maut bhi naa aayegi ! …
349 Comments/Shayaris on “Dosti Shayari 1”
Pages: « 1 2 3 4 [5] 6 7 » Show All
Pages: « 1 2 3 4 [5] 6 7 » Show All
May 19th, 2007 at 1:38 pm
PYAAR AISA CHEEJ HAI JO JHOKA BANKE Aata hai,EK DIN YE PYAAR KARNE WALON KO DHOKA D.A.JAATA HAI.
June 6th, 2007 at 9:36 am
Only for you……
दोसà¥à¤¤à¥€ कि तड़प को दिखाया नही जाता ,
दिल मे लगी आग कि बà¥à¤à¤¾à¤¯à¤¾ नही जाता ,
चाहे कितनी à¤à¥€ दà¥à¤°à¥€ हो दोसà¥à¤¤à¥€ मे ,
आप जैसे दोसà¥à¤¤ को à¤à¥à¤²à¤¾à¤¯à¤¾ नही जाता !
June 14th, 2007 at 5:52 am
this is very good site
June 19th, 2007 at 12:10 pm
Wow Kya Poem taa, wese esse dost milte hai kaha..ajj kaal tu saab ki dil mein kodd hai..
June 19th, 2007 at 5:34 pm
Kaun kehta hai Dost tumse hamari Judaai hogi,
Ye Khabar kissi aur ne Udaai hogi,
Shaan se rahenge aapke Dil mae hum,
Itne shayries mein Humne kuchh toh Jagah banaai hogi.
June 20th, 2007 at 5:08 am
kisi ek se karo pyar itna ki
aur kisi se pyar karne ki gunzaaish na rahe
aapko dekh kar ek baar,
zindagi se phir koi khawaish na rahe
June 28th, 2007 at 2:01 am
PYAR KARNA AASAN HAI
PYAR CHODNA USE BHI AASAN HAI,
MUSHKIL HE TO SIRF US PYAAR KO NIBHANA!
June 30th, 2007 at 10:17 am
hamaariye ichhayane tamanaayane reh jaati hai bas, or hota vehi hai jo ishwar chahta hai, ham sochte hai khuch or kya ho jata, milta to jindgi mai sabhi khuch hai Harshi bas vo nehi milta jo bechaara ye dil chata hai
your love prakash
July 3rd, 2007 at 5:51 pm
i have never found such nice collection of gr8 lines on net.
it’s simply “touchwood lines”
thanks !!!
July 4th, 2007 at 9:03 pm
Dil sey Dil kabhi judaa nahi hootey,
gar mil jayen to kabhi beewafa nahi hootey,
kisi k dil mein kya hai yeh hum ko kya pata,
Gar jo beewafa ho hum sey poocho,
Beewafai wajah nahi per hai saza,
saza farmai hai uss eny jisey hum kehtey hai khuda…..
I need ur opinion i jst came up wid it telll me is it ok???
July 6th, 2007 at 3:15 pm
gum hi gum hai ish duniya ma
ishka ilaaz kha se karaye hum
TAAZMAHAL to la sakte hai
per MUMTAAZ kha se laye hum
………………………shahina i love you mai tumhe bahut chata hu;;
July 6th, 2007 at 3:49 pm
“teri muhobbat ko sajda karte hai hum
ye pyaar na ho dobara dua karte hai hum
humko thukrake jane wale mudh k to dekh
teri yaad me jeetey na martey hai hum…..
July 6th, 2007 at 3:51 pm
“People come into your life for a reason, a season or a lifetime. When you know which one it is, you will know what to do for that person. When someone is in your life for a REASON, it is usually to meet a need you have expressed. They have come to assist you through a difficulty, to provide you with guidance and support, to aid you physically, emotionally or spiritually. They may seem like a godsend and they are. They are there for the reason you need them to be. Then, without any wrongdoing on your part or at an inconvenient time, this person will say or do something to bring the relationship to an end. Sometimes they die. Sometimes they walk away. Sometimes they act up and force you to take a stand. What we must realize is that our need has been met, our desire fulfilled, their work is done….
July 8th, 2007 at 3:56 pm
mohabbat ki mukaam humse pucho,
toote hue dil ka dard inkaar sunne wale se pucho,
pyar mein kaise jal jaate hain diwaane,
shama mein jal ne wale parwaano se pucho…
July 12th, 2007 at 2:15 pm
Lohe ko Loha kat ta hai …
Sone Ko Sona Kat ta hai…
Jaher ko Jaher kat ta hai…
Isliye apko Kutta katega
July 13th, 2007 at 9:42 am
wow jabab nahi aap logo ki shayri ka keep it up u all of u gr8………………………………
July 13th, 2007 at 9:43 am
wowwwww u all of u gr8 keep it up
July 13th, 2007 at 11:23 am
ye Dosti humari he janse bhi pyari rahenge sath hum
hum tino saheli ek dujebin akeli na honge kabhi hum judha
duniya ruthe to ruthe ye bandan kabhi na chute
Hum tino te saheli ek dujebin akeli
July 13th, 2007 at 11:33 am
Pyaar jindgi ka woh moutaj he
jo jindgi se ek bar juad jaye
to jindi banjaye per jo jindgi se chutjaye
to jindgi chali jaye
July 13th, 2007 at 11:57 am
“Zindgi apke liye maut Mere liye,
khushi apke liye Gum Mere liye,
Saath apke liye bechani mere liye,
Sab kuch aap ke liye aur aap Mere liye.”
July 13th, 2007 at 9:05 pm
Shararat na hoti , shikayat na hoti
naino mai kisi ke nazakat na hoti,
Na hoti bekarari ,
na hote hum tanha jo jahaan mai kambakhat ye mohabbat na hoti,
Na hote ye sapne ,
ye khwabon ki duniya ,
kisi ko chahat ki tammanna na hoti,
Na zulfon ki chaaya ,
na phoolon ki khushbu ,
yaadon mai unki yeh raatein na katati ,
jo na hoti mohabbat ye aansu na hote,
dil bhi na khota ,
aaj tanha na rota ,
Diwano si apni yeh halat na hoti ,
jo jahaan mai kambakhat yeh mohabbat na hoti…..
July 13th, 2007 at 9:10 pm
ek taraf se baraat chali
kushyoon aur shanayeen ke saath
ek daraf se arti uthi
gammo aur tanhai ke saath
dono apass me takragaye
dekne wale chkragaye
bheed me se awaz ayee
aye khuda kaise ye khudai tere
yaar ke baraat dekhne mehbooba ke arti ayee
July 13th, 2007 at 9:13 pm
Zakham diya kuch aysa
ke koi dawa kaam na aye
aag kuch aysa lagaya
ke paani se bhi na bhuj payee
aree hum toh unhe aaj bhi yaad karke roti hain
jinhe humare yaad kabhi na ayee
hope u guyus can read this
July 13th, 2007 at 9:14 pm
Is Dil Main Aaj Bhi Kisi Ka Pyar Baki Hai
Is Dil Main Aaj Bhi Kisi Ka Intezar Baki Hai
Maut Ke Baad Bhi Khuli Hain Aankein
Kyu Ki Aaj Bhi Kisi Ka Deedar Baki Hai
July 13th, 2007 at 9:15 pm
zakham dena ka andazz kuch aysa hain
zakham de kar pouchte hain ab haal kaisa hain
kisse ek si gila kiya kare yaroo
saree duniya ka mijazz hi kuch aysa hain
July 13th, 2007 at 9:15 pm
tadap kar dekho kisi ki chahat mein to pata chalega intezar kya hota hai,
yun hi mil jaye agar koi bina tadpe, to kaise pata chalega pyaar kya hota hai
July 13th, 2007 at 9:16 pm
Ehsaas bahut hoga jab chod ke jayange,
Royenge bahut magar ansu nahi aayenge;
Jab sath na de koi to awaz hume dena,
kabra mei honge to bhi laut kar aayenge
July 13th, 2007 at 9:17 pm
Waqt kahta hai phir na aaonga,
teri aankho ko ab na rulaoonga,
jeena hai to is pal ko jee le,
shayad kal tak main na ruk paoonga
July 13th, 2007 at 9:18 pm
Yaad Karte Hain Yaaron Ko,
Yaadon Se Dil Bhar Aata Hai…
Kabhi Saath Jiya Karte the sab,
Aaj Milne Ko Dil Taras Jaata Hai…
July 13th, 2007 at 9:19 pm
Nazar unnhe dekhna chahe to aankho ka kya kasur.
har wakt khushbu unki aaye to sanso ka kya kasur.
waise to sapne puch kar nahi aate .
par sapne unke aaye to sapno ka kya kasur
July 13th, 2007 at 9:33 pm
Tardap kar dekha kisse ke piyaar me
patta chala piyaar kiya huta hain
piyaar kar bhi koi tardpe agar
kiya yahe piyaar huta hain
my own thots….pliz comment
July 18th, 2007 at 10:57 am
Is Dil Main Aaj Bhi Kisi Ka Pyar Baki Hai
Is Dil Main Aaj Bhi Kisi Ka Intezar Baki Hai
Maut Ke Baad Bhi Khuli Hain Aankein
Kyu Ki Aaj Bhi Kisi Ka Deedar Baki Hai
Kaun kehta hai Dost tumse hamari Judaai hogi,
Ye Khabar kissi aur ne Udaai hogi,
Shaan se rahenge aapke Dil mae hum,
Itne shayries mein Humne kuchh toh Jagah banaai hogi.
July 18th, 2007 at 10:30 pm
Kaun kissey dil me jagah deta hain..
Ped bhi sukhey patte gira deta hain..
Waqif hum bhi hain dunya ke riwazon se..
Matlab nikal jaye toh har koi thukra deta hain..
July 24th, 2007 at 9:26 am
yeh sach hai ki hum tumhe chate hai yeh sach hai ki hum tumhe maante hai dost ho tum hamare dosti ki kasam dosto wali chahat hai hamari khudha ki kasam
July 26th, 2007 at 7:49 pm
na chate hai wo mujhse door rehna,
na chahte hai wo mere pass aana,
unko khabar nahi abhi tak k,
unko hai mere dil me rehna..
July 26th, 2007 at 7:55 pm
rok kar dekho apni sanson ko,
meri dhadkan ruk jaegi.
jhank kar dekho mere dil me,
apni surat tumhe nazar ayegi.
jahan chupa kar rakha hai tumhe,
wahan kisi ki nazar nahi jaegi.
July 27th, 2007 at 10:19 am
likho tu kuch aisa likho ke kalam roone per majbur ho jaye, harlafz me wo dard mahoos ho ke wo pyaar karne per majbur ho jaye….
July 28th, 2007 at 4:44 am
Aap hume bhula de koi gam nahi,
Aap hume rula de koi gam nahi,
jis din humne aapko bhula diya,
Samagh lena is duniya me hum nahi !
July 28th, 2007 at 4:49 am
Doston ki kadar karte hai hum itni,
Asmaan me roshni hai jitni,
Yakin nahi to call kar ke dekho,
Hum aapse baat karenge utni,
Aap ke MOBILE me laxmi hai jitni !
July 28th, 2007 at 5:04 am
Zakham diya kuch aysa
ke koi dawa kaam na aye
aag kuch aysa lagaya
ke paani se bhi na bhuj payee
aree hum toh unhe aaj bhi yaad karke roti hain
jinhe humare yaad kabhi na ayee
hope u guyus can read this
July 29th, 2007 at 7:27 pm
Achy dost ki misal asi hai .jasy pholl khely tu kuhsboo pelti hai.koi rook nahi sakta.es liye tu log pholl ko bhi kitab main chopa lety hain.acha dost kuda ka tuhfa hai. Tum se hua jo dour tu ahsas ye huwa
Kitni udas sham hai tere beghar ye
August 9th, 2007 at 3:13 am
aye dost teri dosti uss ghadi tadpaayegi. jab zindagi kahegi alvida, aur maut bhi na aayegi
August 11th, 2007 at 3:56 am
tum dekho ya na dekho tere dekhane ka gum nahi,
lekin tera andaaz tere dekhane se kum nahi.
August 18th, 2007 at 10:34 am
jo likha hai acchha likha hai
jo likhoge acchha hi likhana
padne wale hamesh dil se hi padenge
tum likhe raho hum padte rahenge.
August 18th, 2007 at 11:50 am
dear tumne kya likha likha hai padkar dil kush ho gaya.
jisko sunaya vo v kusha ho haya.
August 22nd, 2007 at 8:22 am
hum apke dil main chupe hai…. per aap dekhte nahi
August 23rd, 2007 at 1:41 pm
Koi ankhon se baat kar leta hai, Koi ankhon mein mulakat kar leta hai, Bada mushkil hota hai jawab dena, Jab koi khamosh rehkar sawaal kar leta hai.
August 23rd, 2007 at 1:44 pm
Katra Katra behte rahe ansu. or hum unhe sukha bhi na paye… isse badi wafa ki saza kya hogi.. wo roye humse lipat kar kisi or ke liye. or hum mana bhi na kar paye
August 28th, 2007 at 10:13 pm
Salam..kya haal hai dostoo.aap sab bohat hi achi shayari kertee ho.jab mein aap sab ki shayari phar raha tha to meri ankhon mein ansoo aa gaye the…..THnx
August 30th, 2007 at 2:39 pm
Aati hain jab hume yaad tumhari
Humse mat poocho kya hasrat hai humari
Ek koshish thi kabhi pana tasvir tumhari
Jo keh na sake apni juban se kabhi hum,
Bina kahe pooch leti tasvir tumhari
Hoti jo aahat aangan mere kabhi
Bhar jaati tumhare ehsas se chahat humari
Rehti hoon jab main saaye mein khamoshi ke kabhi
Yaad karti hoon hamesha muskan tumhari
Aati hain jab hume yaad tumhari